http://adf.ly/Bao4K

Tumhare Baad Socha Tha
Nayi Dunia Basani Hai

Bhula K Yaad Ko Teri
Naye Kuch Pal Sajane Hain

Naye Longon Se Milna Hai
Naya Ek Ghar Bananaa Hai

Magar Jab Manzilen Mujh Se
Khafa Hone Lagin

Magar Jab Raaste Mujh Se
Alag Hone Lage

To Guzarte Waqat Ne Ye Baat
Mujhe Ko Samjhai

Tumhare Bin Adhoora Hon
Tumhare Bin Adhoora Hon




Gham-O-Dukh K Ye Ishare Tum Na Samjho Ge,
Jo Din Hum Ne Tumhare Bin Guzare Tum Na Samjho Ge,

Tumhain Kese Bataein Tum Hamare Waste Kiya Ho,
Samandar Ki Kahani Mein Kinare Tum Na Samjho Ge,

Bus Itna Jan Lo Ek Shakhs Se Hum Ne Mohabbat Ki,
Hamare Tootne Ka Kheil Piyare Tum Na Samjho Ge,

Hazaron Mushkilon Se Kheil Kar Bhi Jeetne Wale,
Ye Aakhir Kis Jaga Per Aa K Haaray Tum Na Samjho Ge...






Aarzu thi teri bahon me dam nikle,

Kasur tera nahi badnaseeb hum nikle...

Jaha bhi jaye Khush rahe tu sada,

Dil se mera dua sada yahi nikle.

Mera honton ki hansi tere honton se nikle,

Tere gham ka dariya meri aankhon se nikle

yeh zindagi sada tumhe hasati hui nikle,

Agar chahe to hame rulati hui nikle...

Agar zindagi me kabhi jina pade tere bin,

Teri doli se pehle arthi meri nikle.

Aarzu thi tera bahon me dam nikle,

Kasur tera nahi badnaseeb hum nikle..


Uske seene pe sar rakh ke,
So jaane ka intezaar,

Raat bhar uski pyaari baaton ko,
Sun ke jagne ka intezaar,

Jo guzar gaye hai, un lamhon ke,
Laut aane ka intezaar,

Usko apna banake,
Sang jeene ka intezaar..

Zindagi Tujh Ko Jiya Hai, Koi Afsos Nahi
Zehar Khud Maine Piya Hai, Koi Afsos Nahi

Maine Mujrim Ko Bhi Mujrim, Na Kaha Duniya Mein
Bus Yehi Jurm Kiya Hai, Koi Afsos Nahi

Meri Kismat Mein Jo Likhe Theyy, Unhi Kaanton Se
Dil Ke Zakhmo Ko Siyya Hai, Koi Afsos Nahi

Abh Gire Sang, Ki Seeshon Ki Ho Barish, Fakir
Abh Kafan Oodh Liya Hai, Koi Afsos Nahi



Kitni mushkil se kati kal ki meri raat, mat pooch..
Dil se nikli hui honton mein dabi baat, mat pooch..

Wo kiss adaa se mere saamne se guzre abhi..
Kiss tarha maine sambhale mere jazbaat, mat pooch..

Waqt jo badle to insaan badal jaate hai,
Kya nahi dikhlate ye gardish-e-halaat, mat pooch..

Woh kisi ki ho bhi gayi aur mujhe khabar na hui,
Kiss tarha usne chudaya hai mujhse haath, mat pooch..

Iss tarha pal mein mujhe begana kar diya usne,
Kiss tarha apno se khayi hai maine maat, mat pooch..

Ab tera saath nahi hai toh fizaye kuch bhi nahi hai,
Kitni mushkil se bani thi dil ki kaaynaat, mat pooch ..

Moom Ki Tarah Pighaltey Howey Dikha Usko
Rut Jo Badli Badalatay Howey Dikha Usko

Wo Jo Kanton Ko B Narmi Say Chowa Karta Tha
Hum Nay Pholon Ko Masaltey Howey Dikha Usko

Janey Kis Ghum Ko Chupaney Ki Tamana Hai Usey
Aj Har Baat Peh Hastay Howay Dikha Usko

Janeh Wo Mangney Jata Hai Duaon Mai Kisey
Hath Uthatey He Sisktey Howey Dikha Usko


Labon ki sersarahat se.
badan k choor hony tak.

Man tujh ko is tarah chahoon.
K meri saans ruk jaye.

Khataon par khata'ain hon.
Na ho kuch baat kehne ko.

Man tujh main yoon sama jaoun.
K meri saans ruk jaye.

Na himmat tujh main ho baqi.
Na himmat mujh main ho baqi.

Magar itna qareeb aaoun.
K meri saans ruk Jaye.

Tere honton pe jab rakhoon.
Main apny hont kuch aise.

Ya tayri pyaas bujh jaye.
YA MERI SAANS RUK JAYE..



Yehi Zindagi ka assol hye,
Jo bichar gaya ussy Bhool ja,

Jo mila hye Dil se laga k rakh,
Jo nahi mila ussy Bhool ja,

Na wo Dhoop tha
na wo Chandni,
na Chirag tha
na wo Roshni,

Wo Khayal tha koi Khuwab tha,
Wo tha Aaina ussy Bhool ja,

Wo jo tery Dil k Qareeb tha,
Wo na jany kis ka NASEEB tha,

Tujhye Hans k us ny Bhula diya,
To b Muskura kar ussy.
*=BHOOL JA =*




Ab Kya Likhen hm Kaghaz Pr
Ab Likhne Ko Kya Baqi Ha

Ek Dil Tha Wo b Tot Gya
Ab Totny Ko Kya Baqi Ha

Ek Shakhs Ko Hm Ne Chaha Tha
Ek Rait Pe Naqsh Bnaya Tha

Wo Rait To Kb Ki Bikhr Gae
Wo Naqsh Kahan Ab Bqi Ha

Hm Jinko Apni Nazmon Ka
Unwan Bnaya Krty Thy

Lafzon Ka Bana K Taj Mahal
Kaghz Pr Sjaya Krte Thy

Wo Hm Ko Akela Chor Gya
Sub Rishto Se Mun Mor Gya

Ab Rasty Sary Soony Hain
Wo Pyr Kahan Ab Bqi HA..!!'


Samajhtey they magar phir bhi na rakhi dooriyan humne,
Charaagon ko jalane mein jalaali ungliyan humne,

Koi titli humare paas aati bhi to kiya aati,
Sajaye umr bhar kagaz ke Phool or Patiyaan humne,

Younhi ghut ghut k marjana humen manzoor tha lekin
Kisi kamzarf par zaahir na keen majbooriyan humne,

Hum us mehfil mein bus ik baar such bol aey thay
Zabaan par umr bhar mehsoos ki chingaariyan humne..'


Ajeeb hijer parasti thi us ki fitrat main,
Shajar ke tootty patty talash krta tha.

Tamam raat wo pardy hata k chand k sath,
Jo kho gaye thy wo lamhy tlash krta tha.

Duaen krta tha ujray hoye mazaron pr,
Bary ajeb sahary talash krta tha.

Mujhe to aaj btaya hy badlon ne "Dost"
Wo lot any k rasty tlash krta tha


Hua hai ishq jo tumse, to is mein meri khata kya hai…
Tumhe jo ishq nahi hamse to is mein meri khata kya hai…


Tumhara naam sunte hi, Dil dhadakne lagta hai…
dhadkan yeh band nahi hoti, to is mein meri khata kya hai…


Nahi chahoge kabhi humko, kaise samjhayein yeh dil ko..
Dil na samajhna chahe to, Is mein meri khata kya hai.!


Agar sochna na bhi chahoon tumko, tumhi socho mein rehte ho…
Tumhi keh do bhala, is mein meri khata kya hai…


Ankhein band karte hain..ke tumko na dekhein hum…
Tum tab bhi nazar aao, to is mein meri khata kya hai….




'Shab-e-Hijar Ki Aziyat Ki Khabar Kis Ko Hai,
Meri Gumnaam Muhabbat Ki Khabar Kis Ko Hai,


Kis Ko Ehsas Mere Shiddat-E-Jazbat Ka,
Mere Halat Meri Wehshat Ki Khabar Kis Ko Hai,


Kon Veran Makano Ki Khabar Rakhta Hai,
Meri khamosh muhabat ki khaber kis ko ha


Maine Chup Chap Mohabbat K Sitam Jhailay Hain,
Meri Is Darja Sharafat Ki Khabar Kis Ko Hai,


Kon Aaye Ga A Dil Ab Tujh Ko Tasalli Dene,
Teri Uddas Tabiyat Ki Khabar Kis Ko Hai......'




Us se kaho ek bar bhool kar aa jaye,

Jo beeti hai us per wo to suna jaye,

Hans hans k Gham chupanay ka hunar,

Is se kaho hum ko bhi sikha jaye,

Us ki yaad mein tarapta rehta hoon her pal,

Us se kaho mere dil se apna naam to Mita jaye,

Arsa huwa hai chand ko dekhy huwe logo,

Use kaho k Apna chehra to dikha jaye,

Aaye bhi to kya de sakoon ge Us ko,
Wasi

Faqat ek zindagi hai, Wo apny naam likhwa jaye.'


Main kese shikwa karon, wo nadan hai bohat
Udas kar k mujhe, khud bhi pareshan hai bohat.

Kehne ko wo mere qareeb tar hai bohat lekin
Faslay ab tak hamare darmain hain bohat.

Wo naye zakhmon k nishan na dekh payen gy
Dil par pichle zakhmon k nishan hain bohat.

Beech bhanwar se bhi nikal kar kiya mila
Khamosh sahilon par tufan hain bohat.

Main na bhi chachon to chali aati hain
Us ki yaaden mujh par maharban hain bohat...



'Mukammal' do hi dano pr,
Ye TASBEEH e mohabbat hai

Jo aaye teesra daana,
Ye dori toot jaati hai.

Mutayyan waqt hota hai,

Mohabbat ki namaazon ka

Adaa jin ki nikal jaaye,
Qaza B choot jati hai.

Mohabbat ki namazo me,Imaamat AIK ko sounpain

Isay taknay, usay taknay
se niyyat toot jaati hai.

Mohabbat dil ka SAJDA hai,
Jo hai TOUHEED pr qaim

Nazar k SHIRK waalon se,
Mohabbat rooth jaati hai..'




Tere ikhlas se mohabbat ki hai,
Tere Ehsas se mohabbat ki hai,

Tu mere pas nahi hai phir bhi
Main ne Teri Yaad se mohabbat ki hai.

Kabhi Tu ne bhi mujhe yaad kiya tha,
Main ne un Lamhat se mohabbat ki hai.

Jin main hon sirf Teri or Meri baaten,
Main ne un Ooqat se mohabbat ki hai,

Jo mehakte hon meri mohabbat se,
Main ne un Jazbaat se mohabbat ki hai.

Tujh se milna to Khawab lagta hai,
Main ne tere intizar se mohabbat ki hai...!


'Aao kbi milny, koi Bahana nahi
acha...

Nazron me raho meri, zamana
nahi acha...

Maango jo khushi se to, diL-0-jan Luta du...

Youn chup k mery diL ko
churana nahi acha...

Hm aaj bi kaayiL hain, usi baat k
yaro...

2 din ki zindgi hai, usay hans
k guzaro...

In keemti lamhon ko ganwana
nahi acha.'



mai jis k dil ki kitaab banta
mai jis ki chahet ka khawab banta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ban ker azaab banta
KOI TO HOTA.....

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA....

mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA........'



'Dastaras me nhi haalaat tujhe kya maaloom?

Ab zaruri hy mulaqaat tujhe kya maaloom?

Raat k pichlay peher neend shikan tanhai,

Kese karti hy sawalaat tujhe kya maloom?

Tu ba-zid hy k sar-e-aam parastish ho teri,

Main hun paaband-e-rivayaat tujhe kya maloom?

Jashn sawan ka yun barh charh k mananay walay,

Zulm kya dhaati hai barsaat tujhe kya maloom?

Shaana-e-waqt pe ab zulf-e- pareshan ki trah,

Bikhri rehti hy meri Raat tuje kya maloom...."'
 

'Ab Waqt-e-Judai Hy Mujhe Ab Alwida Keh Do.

Ab Phir W0 Tanhai Hy Mujhe Alwida Keh Do.

Main Lakh Bura H0n Yar0'n Ki Nazer Me.

Dil R0 t0 Raha Hy Magr Alwida Keh Do.

Mere Ans00 t0 Mere Hain Meri Khushiyan Tumhari Hain.

Mubarak Tum K0 Ye Khushiyan Mujhe Alwida Keh Do.

Mere Jane Par Na R0na Mujhe Tum Yaad Na Karna.

Main Tanha Tha Tanha H0n Mujhe Alwida Keh Do.

Mujhe Afs00s t0 H0ga Yun Tum Se D00r Jane Ka.

Meri Yaad0'n Me Tum Hi h0 Mujhe Alwida Keh Do...!!!'


'Tu kisi or ki jageer he ae jan-e-ghazal..
Log tufaan utha denge mere sath na chal..

Pehle haq tha teri chahat K chaman par mera..

Pehle haq tha teri khushbu-e-badan par mera..

Ab kisi or k shaano pe he tera aanchal..

Log tufaan utha denge mere sath na chal..

Meri qismat me nahi piyar ki khushboo shayed..

Mere hathon ki lakeero me tu nahi shayad..

Apni taqdeer bana mera muqaddar na badal..

Log tufaan utha lenge tu mere sath na chal..'


'Dasht-e-Wafa Men Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha,

Dekha To Aik Dard Ka Darya qareeb Tha.

Guzray Jidhar Jidhar Se Tamanna Ke Qaafilay,

Har Har Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha.

Kuch Aisi Meharban To Na Thi Hum Pe Zindagi,

Kyun Har Koi Jahan Mein Hamara Raqeeb Tha?

Kya Kya Lahu Se Apne Kiya Hum Ne SurKharoo,

Us Door K Nagar Ko Jo Dil K Kareeb Tha.

Apna Pata Tou usne Diya Tha Mujhay "QATEEL"

Me Khud Hi Kho Gaya To Ye Mera Naseeb Tha.'




Ek roz juda ho jaon ga
Na jane kahan kho jaon ga

Tum lakh pukaro gay muj ko
Par lot k main na aon ga


Jab ghar say bahir galion k
Konon pe tanha behto gy


Jab atay jatay chehron main
Tum chehra mera na pao gy


Thak har k din k kamo say
Jab rat ko sony jao gy


Dekho gy jab phone ko
Pegham mara na pao gy


Tab yaad tumhain main aonga
Par lot k main na aonga


Ek roz ye rishta chootay ga
Dil itna zayada toty ga


Phir koi na ham sy rothe ga
Main na ankhein kholun ga
Tm sy kbi na bolun ga

Akhir us din tm ro do gy
Tm apna yaar kho do gy!



Teri HASEEN surat ko nighon men bsa kr rakhu
Dil ye krta ha tjhe tujh se chura kr rakhu

Tujhe dekhu tujhe chaho tujhe pyar karu
Tere rang roop ko mein sb se chupa kr rakhu

Kar lu qaid apne dil mein tere jevan ko
Tujhe mein muhabat ki zanjeer pehna kr rakhu

Koi bhi jan na paye teri ankho ki gehrai
Mein tujhe aisi kanwal jheel bna kr rakhu

Dil ye kehta hai tere bad koi tujh sa na ho
Mein tujhe akhri tehreer bna kr rakhu.



Apni Haseen Ankho Me Chupalo Mujko.
Mohabat Agr Krte Ho Tu Churalo Mujko.

Khone Ka Agr Khaof Hy Tou.
Dil Ki Har Dharkan Me Basalo mujko.

Dhoop Ho ya Sehra Ho Tere Sath Sath Chalengy.
Yaqin Na ho To Azmalo Mujko.

Tere Dukh Ko Seh Len Gy Hans Kr Hm.
Apne Badan Ki Chadar Banalo Mujko.

Sahil Se Pehle Chor Tou Na Do Gy Tm.
Abhi Agaaz-e Safar Me Btado Mjko.

Zndagi Bhi Tere Naam Kr Dengy.
Apni bazoan mei chupa lo mjh ko...





Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho,
Sehra ki baahon mein chupi Aas b Tum ho,

Tum yun to bohat door,,bohat door ho Mujhse,
Ehsaas ye hota hai Mere paas b Tum ho,

Har Zakham ki Aaghosh mein ha dard Tumhara,
Har dard mein taskeen ka Ehsaas b Tum ho,

Kho jao to Veeran si ho jaati hein rahein,
Mil jao to phir Jeenay ka Ehsaas b Tum ho,

Likhta hoon to Tum hi utarti ho qalam se,
Parhta hun to Lehja b Tum, Aawaz b Tum ho..:



Kisi ki Rah Me Ankhen Bicha kr kuch Nhi Milta.
Ye Dunya Bewafa Hai Dil Laga kr kuch Nhi Milta.

Koi Bhi Lot kr Ata Nhi Anso Bahany Sy.
Kisi ki Yad Me Dil ko Rula kr kuch Nhi Milta.

Kisi k Dil Pay kya Guzry kisi ko kya khabr Is ki.
Kisi ko Apna Hal-E-Dil Suna k kuch Nhi Milta.



""Tumhare hath mein aksar gulaabi phul dekhe hein
Hamari rah mein lekin bichana bhul jate ho""

""Tumhein to lot jane ki hamesha fikr rehti hy
Mgar jb lot jate ho to aana bhul jate ho""

""Suna hy tum htheli pr hamara naam likhte ho
Mgar jb ham se milte ho dikhana bhul jate ho""

""Sb jante hein k tum ham pe hi mrte ho
Mgar jb ham se milte ho btana bhul jate ho_!!
Lone Boy Alone Tracks



Mila hon ek dost se, tere jane k bad
Ki usne mere sath wafa,tere jane k bad,

Meri tarha tha wo b udas,tere jane k bad,
Per jo b tha, sath diya,tere jane k bad,

Ek ajnabi sa tha per pyar diya,tere jane k bad,
Darta hon kahin wo b na bicharr jae, tere jane k bad,

Ek wahi to samajhta he mere dil ko,tere jane k bad,
Pocho ge nhi kis ne diya sath mera, tere jane k bad,

Bus "Tanhaaie" thi or "Main" tha, tere jane k bad...


Har RAAT Gham-e-Tanhaai,
Har SHAAM teri yaad aai,

Laakh Tujhey bhulana chaha,
Us se Barh kar Teri YAAD Aai.,

TujSe koi UMEED bhi wabasta nahi,
Iss DUKH se meri Aankh Bhar aai,

Logon ne poocha ASHKON ka sabab?
Bus Mujhe kehna para...!!
.
.
.
.
.

. "TANHAAI"






Had-e-Inteha Se Boht Aage Tmhein Chaha Hai..
Hum Ne Wafa Se Boht Aage Tumhein Chaha Hai,

Jahan Se Lot Aane Ka Rasta Nahi Milta..
Hum Ne Us Rah Se Boht Aage Tumhein Chaha Hai,

Unhein Kho K Jin Ki Nazron Mein Mohabat Gunah-e-Azeem Hai..
Main Ne Us Gunah Se Boht Aage Tumhein Chaha Hai,

Mohabat Mein Harf Ba Harf Mujhe Mangna Nahi Aata..
Main Ne Aadab-e-Dua Se Boht Aage Tumhein Chaha Hai.."
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...