Udas Tehreer Parh K Meri, Mere Sanam Muskura Na Dena,
Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun, Khayal Karna Jala Na Dena,
Guzar Rahi Hai Tumhari Kaise, Bichar K Humse Rula K Humko,
Haqeeton Ko Zaroor Likhna, Aana Ki Khatir Chupa Na Dena,
Koi Puchay Kidhar Gaya Wo, Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara,
Jo Furqaton Ka Sabab Bany Thy, Kisi Bahsar Ko Bata Na Dena,
Main Mar B Jaon To Muskurana, Ehsas-e-Gham Ki na Chot Khana,
Jo Qurb-e-Gham Se Nighayen Bheegen To Rukh Se Anchal Hata Na Dena,
Lahu Se Tehreer Kar Raha Hoon, Main Apni Saari Kahani MOHSIN,
Jo Phar bhi Do To Paas Rakhna, Hawa Mein Tukray Urha Na Dena.......!!!!
Is dard k bad koi dard dard nhi lgta
K shidat-e drd ki intha hoti hai mohabat!
Nhi uthti wo ankhen phr kisi pe,
K jin ankho mai ye fana hoti hai mohabat!
Umar bhr jinka azaala na kr paye,
Bus ek aisi hi khata hoti hai mohabat!
Jo mil jaye tu bas phr kya kehna,
Wrna ek muslsal saza hoti hai mohabat!
Log mjhse har bar yhi pochte hen'
tum ne us mai dekha kya hai
Mai har bar ye hi kehta hon
BE WAJA hoti hai MUHABAT
"Suna hai aur koi b chahne laga hai Tumhen"
"Hum ne ager toot k na chaha to us k ho jana"
"Hum ne Tumahari yaad mein ansoun k darya baha diye"
"Us ki aankh mein nami b ajaye to us k ho jana"
"Hum ne Tumhari khatir khud ko jala dia"
"Us ne agr Tumhare liye apna pehlu b jala lia to us k ho jana"
"Hum ny Tumhari khatir apni nenden Qurban kar di"
"Us ne agr Ek shab b Tumhare naam kar di to us k ho jana"
Na TujKo Chor Sakte Hen Tere Ho B Nhi Sakte..
Ye Kesi Be-Basi Hy Aaj Hum Ro B Nhi SaktE..
Ye Kesa Dard Hy Pal Pal Humhe Tarpaye Rakhta Hy..
Tumhari Yaad Aati Hy To Phir So B Nhi Sakte..
Chupa Sakte Hen Or Na Hum Dikha Sakte Hen Logon Ko..
Kuch Aise Daagh Hen Dil Par Jo Hum Dho B Nhi Sakte..
Kaha Tha Chor Dengey Ye Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhe Paa To Nhi Sakte Magar Kho B Nhi Sakte..£
kabhi aansoo chupa chupa k Roye,
kabhi Daastan-e- Gham suna k Roye,
"Raat" katti hai " intzaar-e-yaar main"
Hum "Raat" bhar Taaron ko jaga jaga k Roye,
Phir woh na Aaye Raat k " wada" kar k,
Hum tamam Raat shama "Jala Jala" k Roye,
Aaj Raat un k aane ki "Umeed" thi Humain,
woh na Aaye Hum Ghar ko "saja saja" k Roye,
Suna hai "DUA" se hoti hai "Murad" poori,
Hum saari "Raat Haath "Utha Utha" k Roye..¡¡..
Khushk ankhon sy Apni Pehchan Ly Gya
Jate hoay Sath Sara jahan Ly Gya
Ab kon Choray Ga mujhko manziL tk meri
Wo Raston sy Apny Qadmon k Nishan Ly Gya
Us k Any ki Rah mei jo Bichaey thy mei ny
Un Pholon ko Ab ura k Tofan Ly Gya
Sub kuch Apna wo mere pas Chor Gya
Meri Hansi
Meri khushi
Mera Maan Ly Gya
JaLty Suraj ko Dy k Hrarat Thori c
Koi Shakhs Sar sy Saiyban Ly Gya
Waqt-e-rukhsat wo Hath HiLana uska
Afsos k wo Lamha meri jaan Ly Gya.....
Apni aankhon k samandr men utar "JANE DE"
Tera mujrim hon muje doob k mar "JANE DE"
A mere dost men smjhon ga tuje bhi apna,
Pehlay Maazi ka koi Zakhm to bhar "JANE DE"
Aag dunya ki lagai hoi bujh jaegi,
Koi aansoo meray daman pe bikhar "JANE DE"
Zakhm kitnay teri chahat se mily hain mujh ko,
Sochta hon k kahon tujh se magar,,
....."JANE DE"......
"Jin ke humsfar rooth jaya karte hain",
"Woh chain se kab soya karte hain",
"Sunate nahi kisi ko dukh apna",
"Bas akele mein chup kar roya karte hain",
"Bari khoob adaa hai yeh Ehle wafa ki",
"Aankhon mein nami aur honton se muskaraya karte hain",
"Bhale hi hazaron shikwe hon mehboob se",
"Woh bas haal pooch le to sub bhool jaya karte hain",
"Bari Ajeeb hai duniya Ehle dard ki"
Sagar"
Tanhai mein aksar Mehflon ko sajaya karte hain......
Mujhe gum'naam rehny ka kuch aisa SHOQ hay hamdam,
Kisi benaam sehra mein bhatakti dhoop ho jaise,
Jahan saaye tarastey hon kisi paiker ki aahat ko,
Jahan zinda na ho koi jahan bas maut rehti ho,
Ya kuch aisey k darya k kaheen us paar keeker pe,
Kisi chirhya k bache ki tarapti piyaas ho jaise,
K jiski zindagi k din bohat bejaan guzre hon,
Jo Urney ko tarasta ho magar hasrat dam-e-aakhir,
Wo apne ghonsley mein he kuch aise jaan de jaise,
Hazaron karwaton k baad meri umeed marti hai,
Mjy gumnaam rehne ka kuch aisa SHOQ hai HAMDAM......
Mitt gaya hon mujko to mitta rehne do,
Mere jazbaat K sholon ko buja rehne do,
Dard sehne ki hai bachpan hi se aadat mujko,
Mere riste hue zakhmon ko hara rehne do,
Ab to tabeer ki hasrat hi nai hai mujko,
Meri aankhon men mera khuwab chupa rehne do,
Muskurahat pe mera HAQ hi nai hai yaaro,
Mere honto se tabasam ko khafa rehne do,
Dil jo toota hai tu aankhen na chalak jaen Sagar
Aj ankhon ko in ashkon se bhara rehne do......
Kar Na Dunia_e_ Ghum k Hawaly Mujh ko,
Main Tabassum Hon To Honton Pe Sajale Mujh ko..
Tu Mila Hai To yehi khof Laga Rehta Hai,
Mera Milna kisi Uljhan Mein Na Daly tujh ko..
Is yaqeen Par Hi Andheron Mein Safar jari Hai,
Mil Hi jayen Ge kisi Roz Ujaly Mujh ko..
Teri Nafrat Ne To Majboor kiya jeeny Par,
Ab Tera Pyaar kahin Maar Na Daaly Mujh ko..
Be Niyaazi ka ye Andaz Nahi kuch Bi "mohsin",
Baat To Tab Hai k tu Dil Se Nikale Mujh ko,
Aansoo Nahi Thamtay Meri Aankhon Main Abhi Tak.
Jatay Huey Rota Wo Mujhe Chor Gaya Tha.
Armao'n Ki Dunia K Anmol Se Sapnay.
Pal Main Wo Mre Samnay Sab Tor Gaya Tha.
Jaan Deta Tha Meri Har Baat Pe Laikin Yoonhi.
Be_Sabab Dunia Se Meri Rukh Mor Gaya Tha.
Din Ki Tanhai Ka Gham, Raaton Ki Udasi Hamrah.
Rishta Mera Sare Ghamon Se Jor Gaya Tha.
Aay Kaash Koi Ja K Ussay Aaj Ye Pooche.
Tanha Mujhe Kiss K Saharay Chor Gaya Tha...
Adhuri baaten jo kar gaye ho,
Mere di£ mein utar gaye ho,
Kis ki chahat ka ye asar hai,
Ke reza reza bikhar gaye ho,
Tum hi tou ho jo hamare di£ ki,
Hadon ko choo kar guzar gaye ho,
Hamara thamo gey hath kya tum,
Abhi zamaney sey dar gaye ho,
Cha£ay gaye ho nazar jhuka ke,
Humen deevana sa kar gaye ho,
Bhoo£ bethey ho ehad saray,
Abhi sey kyun tum mukar gaye ho,
Dhundti hai ye nazar tum ko...
Aa bhi jao kidhar gaye ho...??
Wo Dard Ishq Wafaoon Ko Kho Chuka Ho Ga.
Jo Mere Sath Muhab'bat Men Hadd.e.Junon Tak Tha,
Wo Khud Ko Waqt K Pani Se Dho Chuka Ho Ga.
Meri Awaaz Ko Jo Saaz Kaha Karta Tha,
Meri Aahon Ko Yaad Kar K So Chuka Ho Ga.
Wo Mera Piyar Mera
Chain.o.Qaraar,
Jafa Ki Hadd Men Zamany Ka Ho Chuka Ho Ga.
Tum Us Ki Raah Na Daikho Wo Ghair Tha, "Ghalib"
Bhula Do Us Ko Wo Ghairon Ka Ho Chuka Ho Ga...!!
Yeh mazaaq hy meri zaat se
Ya riwaaj hy tere shehr ka,
Kabi is taraf kabi us taraf
Kia mizaaj hy tere shehr ka?
Yahan nafratain bari aam hain
Yahan chahton ki qadar nahi
Wo jo khoon tha mere jism main,
Wo anaaj hy tere shehr ka
Nahi hadd yahan kisi zulm ki
Na hi paas hy kisi rabt ka
Wo jo haal tha yahan kal talak
Wohi aaj hy tere shehr ka
Yahan kaatna kisi or ko
Hy bahadri ki alaamtain
Wo jo jangalon main b tha kabi,
Wohi rawaj hy tere shehr ka.
Apno se yun Izhaar munasib nahi lagta,
Agar Hum se Muhabat hai to keh kyon nahi detay,
Aisey mein ye Tera Payar munasib nahi lagta...
Is Hijr ki Rut mein chaly aao k Tere bin,
Ujra Dar-o-Dewaar munasib nahi lagta...
Jaya na karo Tum yun Raqeebon ki Gali mein,
Yaron ka ye Kirdaar munasib nahi lagta...
Milne ka kisi Roz to iqraar karo Tum,
Her Baat pe Inkar, munasib nahi lagta.
Ye Baat Alag Hai K Haara Hoon Na Jhuka Hoon,
Ik Umr Mgr
Zulm Ki Chakki Me Pisa Hoon,
Ye Kis Ne Kaha Chahat_e_Betab Nahi Mujh Mein,
So Baar Gira Hoon To Main So Baar Utha Hoon,
Zakhmi Hoon To Maghrur Samajte Hein Mujhe Log,
Maghrur Sahi Janib_e_Manzil To Chala Hoon,
Gard Utri To Chamkun Ga Usi "TAAB" Se Kal B,
Kya Gham K Aaj Main Mitti Mein Mila Hoon,
Doon Sb Ko Main Apni Safai To Bhala Q MØH$ìn?
Main Samney Hoon Sb K Bura Hoon K Bhala Ho.
Chup chup rehna kuch na kehna,
ye bhi aik udaasi hai,
Hans k saray sadmay sehna,
ye bhi aik udaasi hai,
Baithy baithy kho jana youn he door khayalon mein,
Chaltey chaltey hanstey rehna,
ye bhi aik udaasi hai,
Dil ki batain sun kar hansna, ye to sab ki aadat hai,
Gham ki baat pay hantsey rehna,
ye bhi aik udaasi hai,
Maar k kankar lehrein gin'na baith k jheel kinary par,
Kuch logon ka hai ye kehna
YE BHI AIK UDAASI HAI......
Subscribe to:
Posts (Atom)