http://adf.ly/Bao4K


Tumhare chand se chehre pe ghum achay ni lagte,

Hamen keh do chaly jao jo hum achay ni lagte.

Humen woh zakham do jana jo sari umar na bhar paiyen,

Jo jaldi bhar k mit jayen woh zakham achay ni lagte.


Tumhen har ghazal men likhna mera dastoor hy lekin,
Sari mehfil tere charchay mujhe achay ni lagte.

Main chahat ki us manzil pe aa phuncha hoon faisal,
Tumhare chahne walay mujhe achay ni lagte...
 



Hum ko lota hai usi sheher ne aye jan-e-wafa,
Jis ki galiyon mein mohabbat ka kuch hisab na tha,

Woh jo rehty thy mere sath hamesha din bhar,
Unke mazhab mein wafaon ka koi baab na tha,

Wo jo ankhon mein mohabbat ko liye phirtay they,
Unke dil mein thi woh nafrat, k kuch hisab na tha,

Mene jisko bhi musebat men maseeha jana,
Jo dia usne bara us se kuch azaab na tha,

Mujhy khayal tha yeh log mere apne hain,
Magar, wahan pe to aysa koi rewaaj na tha...



Na Gila Kia, Na Khafa Huwe,
Yunhi raasty Me Juda Huwe,

Na Wo Be'wafa Na Mai Be'wafa
Jo Guzr Gya So Guzr Gya.

Wo Ghazal Ki Ek Kitab Tha,
Wo Gulon Me Ek Gulab Tha,

Zara Dair Ka Koi Khwab Tha,
Jo Guzr Gya So Guzr Gya.

Wo udas dhoop Samait Kr,
Kahin Wadiyon Me utr Gya,

Usey Ab Na De Mere DiL Sadaa,
Jo Guzr Gya So Guzr Gya.

Ye Safar B Kitna Taveel Hai,
Yahan Wqt Kitna Qaleel Hai,

Kahan Lot Kr Koi Aye Ga,
Jo Guzr Gya So Guzr Gya.

alone, give, pain, sadness


Gar Jo Dil Ki Suno To Haar Jaoge,
Hum Jaisa Pyaar Phir Kaha Se Paoge,

Jaan Dene Ki Baat To Har Koi Karta Hai,
Zindgi Banane Wala Kaha Se Laoge,

Jo Ek Nazar Dekhoge Hume,
Har Taraf Humko Hi Paoge,

akeen Apni Chaaht Ka Itna Hai Mujhe,
Meri Aankhon Mein Jhankoge Aur Laut Aaoge,

Meri Yaadon Ke Samundar Mein Jo Doob Gaye Tum,
Kahin Jana Bhi Chahoge To Ja Nahi Paoge.

alone, black and white, girl, loneliness, lonely



Khawab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte,
Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte,

Ek Baar Yun Kisi Ko Kah Kar Apna,
Daman Phir Uss Se Churaya Nahi Karte,

Us Ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil,
Aane Ka Kah Kar Bhi Jo Aaya Nahi Karte,

Rakhte Hai Jo Dard Bhara Dil Apne Seene Mein,
Doosron Ka Dil Phir Wo Dukhaya Nahi Karte,

Do Qadam Saath Chal Kar Jo Judda Ho Jayen,
Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte,

Kiss Tarha Guzarti Hogi Zindagi Unn Ki,
Pehli Mohabbat Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte.



Ab akeley akeley he rehna seekh liya hai dil ki batian khud se kehna seekh liya ha

mujhe kisi k kandhey ke zarurat nai hai

tanha tanha chupke chupke rona seekh liya ha

koi kisi k zakhmon ko kesey bhala c paye ga?

Apne zakham apne hathon se seena seekh liya hai ye

baat ajab hai par yehi sach hai piyarey

gham ka zeher thora thora peena seekh liya hai

umar bhr sath kisi ka kon yahan deta hai?

Pal pal mrna pal pal jeena seekh liya hai




Wo Bar Bar Mujhe Aazmatey Rahy,

Misl-e -Shama Wo mujhe Jalatay Rahay,

Jan B Kaha us Ne Mujhe Magar,

Dushmano Ki Tarah Tarpatay b Rahay,

Ungli pakar kar Aksar Andhere Raston Main,

Wo Bar Bar Mujh ko Giratay Rahay,

Aisi B Bhala kya Muhabt faraz,

Main Tot'ta Raha, Wo Muskratay Rahay.





Kitni Majbooriyan Hum Palkon Pe Saja Letey Hain,,

Hum Kahan Rotey Hain Halaat Rula Detey Hain,,

Yaad Rehtey Hain Buray Waqt K Sathi Kis Ko.?

Subah Hotey Hi Log Shama Bujha Detey Hain,,

Sath Hotey Hain To Lagta Hai K Sadiyon Ka Sath Hai,,

Door Hotey Hain To Faqat Do Din Mein Bhula Detey Hain….


Hawa jab geet gati hai mere aansu nhi rukte,

Tmhari yad aati hai mere aansu nahi rukte,

Mein khush hoti hn pani me baha kr kaagzi kashti,

Magar jab doob jati hai mere aansu nhi rukte,

Me din bhar khof ruswai ka kitna zabt krti hon,

Magar jab raat chaati hai mere aansu nhi rukte,

Kabi jab sard shamo me mere kamry ki tanhai,

Tumhe wapas bulati hai mere aansu nhi rukte.

Kabi mjse achanak tm jo aise Roth jate ho,

Main us wqt muskurati hun magar ansoo ni ruktey,

Mjhy jb khayal ata ha juda hona b Mumkin ha,

Main khud ko Tal deti hun magar ansu ni rukte.


Kitne itminaan se woh thukra gaye mujhe,
Aansoo bana ke aankh se tapka gaye mujhe,

Kaisi yeh rehbari thi yeh kaisa fareb tha,
Manzil dikha ke raah se bhatka gaye mujhe,

Khamosh nigahon se kahani suna gaye,
Lafzon ke har phair mein atka gaya mujhe,

Mujh ko bhi bachpan ka sa ek mazaq samaj ke,
Chhoti si ek hansi mein uraa gaya mujhe,

Do din mein uss ke dil se mohabat utar gayi,
Aur do hi din mein yaad se mita gaye mujhe


Thehro, Mujhe kuch kehna Hai,

Thora PYAR Bhi Tumko dena Hai,

Phir Apna Rasta chalna Hai,

Jis Ratay pe chaya bhi nahin, or Tum bhi nahin,

Bas yaad Tumhari sath Rahay,

youn jaise Dil pe Hath Rahay,

kuch Dard ka Bhi Ehsas Rahay,

Ruk jao ye Tohfa Lena Hai,

ik Lambi umr judai ki, is sa'at se pehle kati Hai,

is sa'at k baad guzaren Gey,

ik yaad Amar Ho jane Do,

Bas is pal Tum Mere sath Raho!

Phir be_Shak door Chale jana, phir Lot k b Tum na Ana!

Bas is Pal Tum Mere sath Raho!

Or ye pal KAASH ; Theher jaye....
Aap Bhi Apni Aadaoun Par Zara Ghaour Karein
Hum Agar Arz Karein Gay Tou Shikayat Ho Gi
Yeh Kya Jaany Main Jaana Hay,Jaaty Howey Khafa Ho Kar
Main Jab Jaanou Meray Dil Say Chaly Jao Juda Ho Kar
Woh Jisay Deakh Kar Hazaroun Qaflay Ruk Jaaty Hon
Koi Aesa Meray Naseeb Main Likh Day Yaa Rab
Yeh Zarori Tou Nahe Kay Har Khawab Ko Mily Tabeer  
Kuch Khawab Tou Hoty Hain Aankhou Mai Sajany Kay Liye
Neachi Nazra Mai Qayamat Ka Asar Hota Hai
Husun Aur Bhi Nikhar Jata Hai Sharmanay Sai
Yeh Apnay Zarf Apni Talab Apni Nazar Ki Baat Hai
Raat Hai Laikin Meray Lab Par Sehar Ki Baat Hai
Yountou patthar ki bhi taqdeer badal jati hai
Shart yeh hai k usay Dil say tarasha jayeee...
Mujhe bhula kar sona tumhari aadat hi ban gai hai "Dost"
Jid din ham SO gaiey, to tumhain neend se nafrat ho jaye gi...
Wo yaad kare ga jis din meri Mohabbat "Wasi"
Wo roye ga bohat phir se mera hone k liey...
Mat pooch k kis tarha se chal rahi hai "zindgi"
Us dour se guzar rahy hain jo guzarta hia nahi....
Har baar tora hai us ne meri Umeed-o-Kholus ko
Ham phir bhi skikwa nahi karte, anjane main howa ho shaied.......
Sab kuch mil jata hai is Dunia main
Faqat woh shakhs nahi milta jis se Mohabbat ho jaye...





Meri mohabbat mery jazbat sirf tum se hain
Dekho meri kaiynat sirf tum se hai

Auron se pochne ka main Haq nahi rakhta
Mery sawalat mere jawabat sirf tum se hain

Tum ko maloom hi nahi meri Tanhai ka dukh
Meri sochain mere khayalat sirf tum se hain

Tum sath ho to muqaddar par hakoomat apni
Mere har rishte ki soghat sirf tum se hai

Gar kabhi bikhar jaon to samait lena mujhko
Hai mukammal jo meri zaat sirf tum se hai....
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...