Kahani dard ki main zindagi se kya kehta,
~**@**~
Ye dard us ne diya hai usi se kya kehta,
~**@**~
Gila to mujh ko bhi kerna tha pyaas ka lekin,
~**@**~
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kya kehta,
~**@**~
Mere aziz hi mujh ko samajh na paye kabhi,
~**@**~
Me apna haal kisi ajnabi se kya kehta,
~**@**~
Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,
~**@**~
Bhala ye baat main ab roshni se kya kehta.
~**@**~
Tamaam sheher me jhoot ka raaj tha Dost
~**@**~
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kya kehta.
~**@**~
2 comments:
akashan.dubey@gmail.com
jai ho
Post a Comment